Friday, September 28, 2007

TiShNaGi

Aawaragi ki apni manzil hai,yeh ek talaash hai us manzil ki jahan aa kar sab kuch theher jaata hai,jahan insaan ka khalipan aur khalish mit jaati hai,tishnagi ko rahat aur bechaini ko qarar mayassar hota hai.
Jab tumhari zubaan samjhne wala koi saath aa jaaye to wahi manzil ban jaati hai..
Meri baat se shayad tum ittefaq nahi rakhte lekin har kisi ki tarah aankho mein sapne aur dil mein armaan hotey hain,waqt ki bedili aur maazi mein humarey kadwey experiences kabhi kabhi us raah par chalne se rok lete hai jo raah shayad hamari manzil ko jaati hai.
Dard ki shiddat lafzo se kahin zayada dil ke andar hoti hai,usko hubahu utarana mushkil hi nahi namumkin sa ho jaata hai,shayad aadha adhoora dard in panno par simat ke reh jaata hai,jo hum samjh baithte hai ki uska pura ehsaas ismein dikh gaya,lekin aisa nahi hai aur bhi ghum hai jo dikhaye nahi jaa sakte,jiski aawaz har kisi ke kaan tak nahi pahonch sakti,lekin jab is raah mein chalte hue humse koi aisa shakhs takrata hai jo hamari tarah ho,jo bhala ho yaa bura ho,par jo ehsaas ko samjhta ho,tum chup raho to usey yeh pataa chal jaaye ki tumne kuch kaha hai,aur woh besaakhta uski zubaan par aajaaye..
Kisi par yaqeen karne ke liye waqt ki bandish nahi hoti,kisi ne kya khoob kaha hai,
Parakhna mat parkhne mein koi apna nahi hota,kisi bhi aaiene mein der tak chehra nahi hota..
I still believe there is something which made me to keep on writing to you, to show you the true feelings of me, one may not agree that it could happen in so less time. But feelings doesn't come or wait for the time, they are like the dreams if you catch them they will stay with you or else next day those eyes will b full of another dreams.
So hold on or let me hold you before any of us get to another dream..
Bus waqt ki saari uljhan hai jo har waqt pareshaan karti hai
Kuch soch ke baitha jab bhi main yeh soch pareshaan karti hai..
Shayad ab tak aap ko meri khalish aur merey andar chupe hue us dard ke ehsaas ka andaaza chal gaya hoga?
Yahi hai woh jo har waqt mujhe pareshaan karti hai,jisey saath le kar chalne ki sochta hoon wahi raah mein aagey badh jaata hai,ya phir haalat ki majburiya usey chalne nahi deti,mujhe nahi pataa ki tumhari kya majboori hogi,tumhaare kya haalat hai,yeh to mere halaat ki kahani hai jo sirf meri zubaani hai,shayad is se zayada main aur kuch nahi keh sakta.

Thaam lo ki dil ab bhi muntazir hai tumhare jawab ka
Ho sakta hai mere saath tujhey raanayian na miley..

No comments: