Monday, September 24, 2007

BeEtEy LaMhEiN


Guzar rahein hai din aur kat rahi hai raat
sisak raha hai dil aur bhar gayi hai aankh,
Khushiyon ke saare pal simat rahein aaj
jaana hai bahut door chod ke ab saath,
Aayenge bahut yaad guzre jo pal ek saath
kabhi chai ke woh pyaale samoso ke baad,
Apni umang mein naa sun na kisi ki baat
Woh hamare sir ka karna besabri se intezaar,
Phir unka kehna humse ab to kar lo class
Par hum hawa ke jhonke na sunte unki baat,
Aaye yahan to roya dil dekh ke khand-har
Ab to yahan ka maamla badla hua hai aaj,

Hum to burey nahi they yeh sochte hai aaj
par apne class ki ladkiyan jaane nahi yeh baat,
Jab aatey sessional hota naa kuch pataa
Phir khol ke kitaab karte nakal ki baat,
Seminaar mein naa kholi humne kabhi kitaab
television aur gappo ka bus tha wahan par raaj,
Hoti pitaayi kuch ki jo bolein woh kabhi
par the woh besharam badla na kuch kabhi,
Woh takraate juniors humse baar-baar
aise the seniors humto unke yaar,
Chairman tak to rehta tha humse tang
Neta hamara rehta tha unke sang

Ab jaa rahein hai hum sab peeche chod kar
kar ke hawale saltanat tum juniors ke sir,
Karna hamesha yaad humko yeh soch kar
Hum bhi tumhare jaise the jab aaye the is sheher,
Yaadon mein rakhna tum humko is tarah
muskuraata rahey yeh maazi bus tumko dekh kar..

2 comments:

Shams Irfan said...

yehi agaaz tha mera, yehi anjaam hona tha...mujhe nakaam hona tha mujhe barbaad hona tha...mujhe is sehar ne galiyoon ka banjara bana dala....

Lost some where in d!s world said...

Dear Khalid! Some of your posts are really nice..

Keep it up..

Keep smiling