Tuesday, October 2, 2007

MiRaGE ???

Life always looks a mirage when u are not confident in your journey.Agree this or not,when a carvaan sets in the never ending desert towards its destination it follows a set route,but at times when the carvaan is out of stock it goes in search in the different directions,it come across mirages but in those mirages lies the stream of fresh water.Its the intuition of human intelligence to understand and follow the route rather than scared and sit idle somewhere.
God helps those who help themselves,everyone knows that pur fate is written before we came to existence,knowing this you can sit idle and wait for the things to happen which has been written before,but mind you it changes with time,you hard work,your belief to reach your set goals make Almighty to change the route and destination of your fate.
Main waqt ko baandh to nahi sakta,naa hi kisi insaan ki soch aur uskey raaste ko rok sakta hoon,par main ya to dua kar sakta hoon ya phir us raaste ki taraf badh sakta hoon jahan woh mirage hai aur tumhein yeh dikha doon ki usi mirage mein kahin woh jharna behta hai,jo thanda hai,jo tumharey honto ki pyaas mita sakta hai,jo tumhein us mithas ke ehsaas kara sakta hai jis se tumhari zindagi abhi tak naa aashna thi.
Shyad in lafzo ki garmi mein bahut kuch pighal jaaye,tumhara jawab shayd meri soch ke against ho,tum shayad mujhse agree nahi karo,kyonki hum dono ki soch shayad mukhtalif hai,lekin kya yeh apne aap mein ek mojza nahi ki hum ek doosre ki baat se inkaar to akrte hai magar ek doosrey ki baaton mein apne liye woh comfort feel karte hai jo shayad aur baaton mein naa ho,yeh kaisa rishta hai,jo hai bhi aur nahi bhi,yeh kaise raaste par hain hum,jahan haath ko thaamna bhi chahte hai aur nahi bhi.kyon hai woh darr tum mein? zindagi darr ke saath nahi jee sakti..
Girte hain sheh sawar hi maidaan e jung mein
woh tifl kya girenge jo ghutno ke bal chalein.

No comments: